Connected to database. Category load error - contact developer: info@mis-productions.co.uk Naat Lyrics


NEW APP BY MIS
Daily Deeds


  • Method of Tayammum, Ghusl, Whudu, Janazah, Daily Duas, Sunnahs and more! -
    CLICK ABOVE ICON

    Best view: Rotate device


    Haajiyo aao Shahenshaah ka roza dekho,
    Kaaba to dekh chuke Ka’abe ka Ka’aba dekho.

    Rukn-e-shaami sey miti wah’shat-e-shaam-e-ghurbat,
    Ab Madine ko chalo subh-e-dil aaraa dekho.

    Aab-e-zam-zam to piyaa khoob bujhaayeen pyaasain,
    Aao jood-e-Shah-e-Kauthar ka bhi daryaa dekho.

    Zayr-e-mizaab mile khoob karam key cheente,
    Abr-e-rehmat ka yahaan zowr barasnaa dekho.

    Dhoom dekhi hay dar-e-Ka’aba pe betaabon ki,
    Unke mushtako me hasrat ka tarapna dekho.

    Misle parwaana phira karte thay jis sham'a key gird,
    Apni uss sham'a ko parwaana yahaan ka dekho.

    Khoob aankho sey lagaaya he ghilaaf-e-Ka’aba,
    Qasr-e-Mahboob key parde ka bhi jalwa dekho.

    Waa(n) muti’oon ka jigar khauf sey paani paaya,
    Ya(n) siyahkaaron ka daaman pe machalnaa dekho.

    Awwaleen khana-e-Haq ki to ziyaayein dekhin,
    Aakhreen bait-e-Nabi ka bhi tajallaa dekho.

    Zeenate ka’aba mein tha laakh uroosoon ka banaao,
    Jalwa farma yahaan konain ka dulha dekho.

    Aymane toor ka tha rukn-e-yamani me farogh,
    Sho’la-e-toor yahaan anjuman-aara dekho.

    Mehr-e-madar ka maza deti hay aagosh-e-hateem,
    Jin pe maa baap fida yaa(n) karam unka dekho.

    Arz-e-haajat me raha Ka'aba kafeelul hujjaaj,
    Aao ab daad-rasi-e-shahe Taibah dekho.

    Dho chuka zulmat-e-dil bosaa-e-Sange aswad,
    Khaak bosi-e-Madinah ka bhi rutbaa dekho.

    Kar chuki rif'ate Ka’aba pe nazar parwaazeyn,
    Topi ab thaam key khaak-e-dar-e-waalaa dekho.

    Be-niyazi sey wahaan kaampti paayi taa'at,
    Joshe rehmat pe yahaan naaz gunah ka dekho.

    Jumua Makkah tha eid ahl-e-ibaadat key liye,
    Mujrimo! Aao yahaan eid-e-doshamba dekho.

    Multazim sey to gale lag key nikaale armaan,
    Adab-o-shouq ka yahaan baaham ulajhnaa dekho.

    Khoob mas'aa me baameed-e-safaa daur liye,
    Rahe jana(n) ki safaa ka bhi tamaashaa dekho.

    Raqs-e-bismil ki bahaare to Minaa me dekheen,
    Dil-e-khoon-naaba fushaan ka bhi tarapnaa dekho.

    Ghowr sey sun to RAZA Ka’aba sey aati hay sadaa,
    Meri aankhon sey mere pyaare ka rozaa dekho.





    *** Like The App? ***- Please post a review


    Views: 16106

    New Naat Translation

  • Eik Mein Hi Nahi Un Par, Qurban Zamana

    Knowledgewise By MIS

  • Search 'Knowledgewise' on Google podcasts, Apple podcasts or Spotify