NEW APP BY MIS
Daily Deeds
Method of Tayammum, Ghusl, Whudu, Janazah, Daily Duas, Sunnahs and more! -
CLICK ABOVE ICON
Ik baar Madine mein
ho jaey mere jaana
Phir aur na kuch maangein
sarkaar ka diwana
Pal Pal mera dil tarpe
din raat kare zaaari
kab aoun Madine mai
kabh aey meri baari
kab ja ke main dekhoun ga
darbaar woh shahaana
Is aas par jiita houn,
ik roz bulaey ge
aur gumbad-e-khazra ka,
didaar karaein ge
phir pesh karru gaa main,
ashqon bhara nazrana
Ik baar Madine mein
ho jaey mera jaana
Bechain nighahon ko
dedaar 'ata kar do
Daman mera kushiyon sai
ya shahe umam bhardo
Abaad Khuda rakhe
aaqa tera maikhana
Itni si tamana hai
ho jaey agar puuri
jaa dekhun madina main,
ho jaey jo manzuuri
bin diide ki aey shaahan,
mar jaey na diwana
Ik baar Madina mein
ho jaey mera jaana
Phir aur na kuch maange
sarkaar ka diwaana
*** Like The App? ***- Please post a review
Views: 1840
New Naat Translation
Eik Mein Hi Nahi Un Par, Qurban Zamana
Knowledgewise By MIS
Search 'Knowledgewise' on Google podcasts, Apple podcasts or Spotify