Connected to database. Category load error - contact developer: info@mis-productions.co.uk Naat Lyrics


NEW APP BY MIS
Daily Deeds


  • Method of Tayammum, Ghusl, Whudu, Janazah, Daily Duas, Sunnahs and more! -
    CLICK ABOVE ICON

    Best view: Rotate device


    Aaj ikattha hai danishwarane watan
    yani ulma o shora e fikr aun fun
    sahibane sukhan hasile anjuman
    nukta dano faseehane ehle sunnan
    hain adeebo khateebo zubano sukhan
    ye Raza ka chaman hey Raza ka chaman

    Azmate sidqe siddiqe akbar liye
    adle farooke azam ka mazhar liye
    sabre usman gani ka samandar liye
    quwwate dasto bazue haidar liye
    nikhate rangey hazrat husaino hasan
    ye Raza ka chaman hey Raza ka chaman

    Is me ajmeri khwaja ki hai khwajgi
    sayyed masood gazi ka gulshan yahi
    ye hain pulwar Ashraf Jahangir ki
    rango booe bareli o marahrawi
    is pe saya fagan panja e panjatan
    ye Raza ka chaman hey Raza ka chaman

    Is me Haji Ali is me Haji Malang
    sare darya samandar pahar is ke sang
    shah meena ki sahba ka josho umang
    warise paak ka zafran zar rang
    gul badaman gul afroz gul pairahan
    ye Raza ka chaman hey Raza ka chaman

    Fazle haq khairabadi ka is me usool
    is ke haami badayun ke fazle Rasool
    shah marahrawi sayyad aale Rasool
    kar liya peer ne bhi raza ko qabool
    is liye is pe nazan hai ahle sunnan
    ye Raza ka chaman hey Raza ka chaman

    Is me ilme aleemi naeemi sifat
    mahro mahe shareeat ke din aur raat
    hamidi amjadi mustafai hayat
    is me simti huyi bekaran kainaat
    is me dashto jabal bharo bar bago ban
    ye Raza ka chaman hey Raza ka chaman

    Mustafa ke raza ki baharen liye
    lala o gul mahakte lahakte huwe
    jagmagate charagan pe noori diye
    noor he noor hai jis taraf dekhiye
    noor ki shama hai noor ki anjuman
    ye Raza ka chaman hey Raza ka chaman

    Is me sayyad Muhammed Kichaucha ki shaan
    Mufti Abdul Hafeez Agra ki hai aan
    is me Hafize Millat ke misbahiyan
    aur mujahide millad habeeburrahman
    sadgi jis pe qurban her bankpan
    ye Raza ka chaman hey Raza ka chaman

    Is ke Rehan ki ajmal mahak char soo
    is ke Akhtar ki Azhar minash shams khoo
    ya ilahi salamat rahe moo ba moo
    Mufti e Azame hind ki aabaru
    hain duaon me masroof ahle sunan
    ye Raza ka chaman hey Raza ka chaman





    *** Like The App? ***- Please post a review


    Views: 2712

    New Naat Translation

  • Eik Mein Hi Nahi Un Par, Qurban Zamana

    Knowledgewise By MIS

  • Search 'Knowledgewise' on Google podcasts, Apple podcasts or Spotify