Connected to database. Category load error - contact developer: info@mis-productions.co.uk Naat Lyrics


NEW APP BY MIS
Daily Deeds


  • Method of Tayammum, Ghusl, Whudu, Janazah, Daily Duas, Sunnahs and more! -
    CLICK ABOVE ICON

    Best View: Rotate device


    Utha Do Parda Dikha Do Chehra
    Ke Noore Baari Hijab Me Hai
    Zamana Taarik Ho Raha Hai
    Ki Mehr Kab Se Nikaab Me Hai

    Nahi Wo Meethi Nigaah Waala
    Khuda Ki Rehmat Hai Jalwa Farma
    Ghazab Se Unke Khuda Bachaye
    Jalaal E Baari Etaab Me Hai

    Jali-Jali Bu Se Uski Paida Hai
    Sozish E Ishqe Chashme-Wala
    Kabaabe Aahu Me Bhi Na Paaya
    Maza Jo Dil Ke Kabaab Me Hai

    Unhi Ki Bu Maya E Saman Hai
    Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman Hai
    Unhi Se Ghulshan Mehek Rahe Hai
    Unhi Ki Rangat Ghulab Me Hai

    Teri Julu Me Hai Maahe Taibah
    Hilaal Har Margo Zindagi Ka
    Hayaat Jaa(n) Ka Rikab Me Hai
    Mamaate A'ada Ka Daab Me Hai

    Siy(a)h Libasane Daare Duniya
    Wa Sabz-Poshane Arshe Aala
    Har Ik Hai Unke Karam Ka Pyasa
    Ye Faiz Unki Janaab Me Hai

    Wo Ghul Hai Lub-haye Naazuk Unke
    Hazaaro Jhadte Hai Phool Jinse
    Ghulab Ghulshan Me Dekhe Bulbul
    Ye Dekh Ghulshan Gulaab Me Hai

    Jali Hai Soze Jigar Se Jaa(n) Tak
    Hai Taalib E Jalwa E Mubarak
    Dikha Do Wo Lab Ki Aab E Haiwa(n)
    Ka Lutf Jinke Khitaab Me Hai

    Khade Hai Munkar Nakeer Sarr Par
    Na Koi Haami Na Koi Yaavar
    Bata Do Aakar Mere Payamabar
    Ki Sakht Mushkil Jawab Me Hai

    Khuda E Kahhar Hai Ghazab Par Khule
    Hai Badd-kariyo(n) Ke Daftar
    Bacha Lo Aa Kar Shafe'e Mehshar
    Tumhara Banda Azaab Me Hai

    Kareem Aisa Mila Ki Jiske Khule
    Hai Haath Aur Bhare Khazane
    Batao Ay Mufliso Ki Fir Kyu
    Tumhara Dil Izterab Me Hai

    Gunah Ki Tareekiya Ye Chayi Umad
    Ke Kaali Ghata-e Aayi
    Khuda Ke Khursheed Mehr Farma
    Ki Zarra Bas Ijteraab Me Hai

    Kareem Apne Karam Ka Sadqa La-eeme
    Be Qadr Ko Na Sharma
    Tu Aur Raza Se Hisaab Lena
    Raza Bhi Koi Hisaab Me Hai





    *** Like The App? ***- Please post a review


    Views: 1932

    New Naat Translation

  • Eik Mein Hi Nahi Un Par, Qurban Zamana

    Knowledgewise By MIS

  • Search 'Knowledgewise' on Google podcasts, Apple podcasts or Spotify