Woh sarwar e kishwar e risalat jo arsh per jalwah gar huye thay
Naye nirale tarab kay saaman Arab ke mehman kay liye thay.
Bahar hai shadiyan mubarak chaman ko aabadiyan mubarak
Malak falak apni apni lay main yeh ghar ana dil ka boltay thay.
Wahan falak per yahan zameen main rachi thi shaadi machi thi dhoomein
Udhar say anwar hastay aatay idhar say naf-haat ooth rahay they.
Yeh joot padti thi unkay rukh ki kay arsh tak chandni thi chhatki
Woh raat kya jagmaga rahi thi jagah jagah nasb aainay they
Nayi dulhan ki phaban main Kaaba nikhar kay sanwara sanwar kay nikhra
Hajar key sadqay kamar key eik til main rang lakhoon banao key they.
Nazar main dulha key pyaray jalway haya say mehrab sir jhukaye
Siyah parday kay moun per aanchal tajaliye zaat e bahat say thay.
Khushi kay badal umand kay aaye diloon kay taoos rang laye
Woh naghma e naat ka samaan tha Haram ko khud wajd aa rahe thay
Yeh jhooma Mizab e zar ka jhoomer kay aa raha kaan per dhalak ker
Phuhar barsi to moti jhar ker Hatim ki gaud mein bharay they.
Dulhan ki khushboo say mast kapray nasim e gustakh aanchloon say
Gilaf e mushkeen jo oord raha tha ghazal naafe basaa rahay thay.
Pahadiyoon ka woh husn e Taz’ee woh oonchi choti woh nazo tamqeen
Saba say sabzah main lehrein aateen dupattay dhani chunay huye thay.
Naha kay nehroon nay woh chamakta libas aabay rawan ka pehna
Ki mauj e chadiyaan thi dhaar lachka habab e tabaan kay thal takay thay.
Purana purdag malgaja tha utha diya farsh chandni ka
Hajoom e tare nigah say kosoon qadam qadam farsh baadley thay.
Ghubar ban ker nisaar jayein kahan ab uss rah guzar ko payein
Hamaray dil huriyoon ki aankhein farishtoon kay per jahan biche thay.
Khuda hee day sabr jaan e purgham dikhaoon kyun kar tujhay woh a’alam
Jab unko jhurmat main lakay qudsi jinaa ka dulha bana rahay thay.
Utar ker unkay rukh ka sadqa yeh noor ka but raha tha bada
Kay chand suraj machal machal ker jabeen ki khairat mangtay thay.
Wohi to ab tak chalak raha hai wohi to joban tapak raha hai
Nahanay may jo gira tha pani katoray taroon nay bhar liye thay.
Bacha jo talwoon ka unkay dhouwan bana woh Jannat ka rang o roghan
Jinhoon nay dulha ki payi utran woh phool gulzar e noor kay thay.
Khabar yeh tehweelay maher ki thi kay rut sunhani ghadi phiray gee
Wahan ki poshak zay-bay tan ki yahan ka joda badha chukay thay.
Tajaliy e haq ka sehra sar per salat o tasleem ki nichawar
Do roya qudsi paray jama kar kharhay salami kay waastay thay.
Jo hum bhi waan hotay khaq e gulshan lipat kay qadmoon say ley tay utran
Magar karein kiya naseeb main to yeh namuradi kay din likhay thay.
Abhi na aaye thay pusht e zeen tak kay sir hui maghfirat ki shallak
Sada shafa’at nay di mubarak! gunaah mastana jhoomtay thay.
Ajab na tha rakhsh ka chamakna gazal e dam khurdasa bhadakna
Shuaein bukkay urha rahi theen tadapte ankhoon pay saieqay thay.
Hujum e umeed hai ghatao muradein day kar inhein hatao
Adab ki baagein liye badhao malaika may yeh ghal ghale thay.
Uthi jo garde rahe munawar woh noor barsa kay raaste bhar
Ghiray thay badal bharay thay jal thal umand kay jangle ubal rahay thay.
Sitam kiya kaisi mat kathi thi qamar woh khak unkay rah guzar ki
Utha na laya kay miltay miltay ye daagh sab dekhte mite they
Burraq kay naqshe sum kay sadqe woh gul khilaye kay saray rastey
Mehaktay gulban mehakte gulshan hare bhare lahlaha rahe thay.
Namaz e Aqsa main tha yehi seer ayan houn ma’ani e awwal akhir
Key dast basta hain pichey hazir jo salatanat aagay kar gaye thay.
Yeh unki aamad ka dab-daba tha nikhar her shaiy ka ho raha tha
Nujoom o aflak jam o mina ujaltay thay khangaltey they.
Naqab ultay woh mehr e anwar jalal o rukhsar garmiyoon per
Falak ko hebat say tap charhi thi tapaktay anjum kay aablay tha
Yeh joshishe noor ka asar tha key aabay gohar qamar qamar tha
Safaey rah say phisal phisal kar sitare qadmon pay laut’tay thay.
Badha ye lehra kay behr o wahdat key dhul gaya naam e raige kasrat
Falak key teloon ki kiya haqeeqat yeh arsh o kursi do bulbule thay.
Woh zill e rehmat woh rukh key jalwe ke taare chupte na khilne paate
Sunehri zarbaft udi atlas yeh than sab dhoop chaoon ke the.
Chala woh serve e chamaan kharamaa na ruk saka sidra say damaan
Palak jhapakti rahi woh kab kay sab aeno aan say guzar chuke thay.
Jhalak see eik qudsiyoon per aayi hawwaa bhi daman ki phir na payi
Sawari dulha ki dur pohnchi barat main hosh hi gaye thay.
T
Views: 2714
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!