Wo suey la lazaar phirte hain
Tere din ay nahar phirte hain
Jo tere dar se yar phirte hain
Dar-ba-dar yu hi khaar phirte hain
Phool kya dekhu meri aankhon mein
Dashte taibah ke khaar phirte hain
Jaan hain jaan kya nazar aaye,
Kyu adu gird-e-gaar phirte hain
Unke ima pe dono bagho par,
Khaile lailo nahar phirte hain
Wardiya bolte hain har kaare
Pehra dete suvaar phirte hain
Laakhon qudsi hain kaam-e-khidmat par
Laakhon girde mazaar phirte hain
Har charag-e-mazaar par qudsi
Kaise parwa-navar phirte hain
Baaye raste na ja musafir sun
Maal hain rahbaar phirte hain
Jaag sunsaan ban hai raat aayi
Gurg behre shikaar phirte hain
Rakhiye jaise hain khanazad hain hum
Mol ke aibdaar phirte hain
Us gali ka gada hu main jisme
Maangte taajdaar phirte hain
Haye gafil wo kya jagah hain jaha
Paanch jaate hain chaar phirte hain
Koyi kyu pooche teri baat raza
Tujhse kutte hazaar phirte hain
Views: 2202
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!