Connected to database. Category load error - contact developer: info@mis-productions.co.uk Naat Lyrics


NEW APP BY MIS
Daily Deeds


  • Method of Tayammum, Ghusl, Whudu, Janazah, Daily Duas, Sunnahs and more! -
    CLICK ABOVE ICON

    Aqaa le lo salam ab hamara
    saba tu madine ja ke kehna khudara
    Aqaa le lo salam ab hamara

    Gum se hain toote huwey
    isyaan me doobe huwey
    kardo karam Ya Nabi
    hey haath pheyle huwe
    roze mehshar ummati ka
    aap hi sahara

    Aqaa le lo salam ab hamara

    Noore khuda aap hain
    shahe khuda app hain
    ai sarware ambiya
    bahre sakha aap hain
    hai ye azmat rab ne tum par, quran utaara

    Aqaa le lo salam ab hamara

    Chand ke tukre kiye
    payron ne sajde kiye
    suraj palat aagaya
    ye moujize aap ke
    sari duniya par he Aaqa, qabza tumhara

    Aqaa le lo salam ab hamara

    Din raat roti rahe
    ummat tumhare liye
    ho jaye nazre karam
    Aaqa humare liye
    taiba ki galiyon ka humko, ho ab hamara
    Aqaa le lo salam ab hamara





    *** Like The App? ***- Please post a review


    Views: 1571

    New Naat Translation

  • Eik Mein Hi Nahi Un Par, Qurban Zamana

    Knowledgewise By MIS

  • Search 'Knowledgewise' on Google podcasts, Apple podcasts or Spotify