Lo jashne bahara aaya hai
Allahumma salli ala Sayyidina Muhammadin
Meelad ki mehfil aisi saji
Kuch kaifo suroor aisa chhaya
Taiba se hawayen aane lagi
Dil ishqe nabi se garmaya
Meesaq ka wa'da rab ne liya
Jab qabley wiladat nabiyon se
Mehboob ki ulfat laazim hey
Tum sab par unsey farmaya
Sarkaar ki zulf-e-anwar ko wallalail
Kaha hey Qur'an ney
Was-shams-o-duha chehra un ka
Khursheed bhi unsey sharmaya
Dunya mey tumhey mey bheyjoonga
Mehbub ke sadqey mey lekin
Aaye wo tumharey paas agar
Ikraam ka wa'da karwaya
Muzhda hey shafa'at ka usko
Sarkaar ka roza jo deykhey
Bhakhshish ki sanad milti hai usey
Taiba ki gali mai jo aaya
Rehmat ka tumhari kya kehna
Ummat sey muhabbat kya kehna
Dunya mey jab aye sajda kiya
Aur yaad humheen ko farmaya
Sarkaar-e-do alam ke sadqey jab
Naat mey unki parhta hoon
Milta hai sukoon har dam mujh ko
Jab bhi hai mera dil ghabraya
Rizwan tumhara mujrim hai
Lillah karam sarkaar karein
Parhta hey tumhari naatein magar
Is ka to yahi hai sarmaya
Views: 2875
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!