Dar-e-Nabi par yeh umr beetay
Ho hum pey lutf-e-dawaam aesa
Madinay wale kahain maqami
Ho un kay dar par qayaam aesa
Dar-e-Nabi par..
Labo pay naame Nabi jab aaya
Goraiz pa hadson ko paya
Jo taal dey taa hey mushkilo ko
Mere Nabi ka hey naam aesa
Dar-e-Nabi par..
Jo ghamzadon ko galay laga lay
Buron ko daman main jo choopa lay
Hey dusra kaun is jahaan main
Siwa-e-khair-ul-anaam aesa
Dar-e-Nabi par..
Mujhee ko deykho wo betalab hee
nawazte jaarahey hai paihum
na koi mera amal he aisa
na koi mera hay kaam aisa
Dar-e-Nabi par..
Bilaal tuj par nisaar jaoon
Kay khud nabi nain tujhe khareeda
Naseeb ho to naseeb aesa
Ghulam ho to ghulam aesa
Dar-e-Nabi par..
Namaaz aqsa main jab parhaee to
Ambiya-o-rusool yeh bolay
Namaaz ho to namaz aesee
Imam ho to imam aesa
Dar-e-Nabi par..
Yeh rif'at-e-zikr-e-mustafa hey
Naheen kisee ka maqaam aesa
Jo baad zikr-e-khuda hey afzal
Hey zikr-e-khair-ul-anaam aesa
Dar-e-Nabi par..
Jo ghamzadon ko galay laga lay
Buron ko daman main jo chhupa lay
Hey dusra kaun is do jahaan main
Siwa-e-khair-ul-anaam aesa
Dar-e-Nabi par..
Mein Khalid apnay nabi pey qurban
Hey jin ka khulq-e-azeem Qur'aan
Hey roshni jis kee do jahan main
Kaheen hey maah-e-tamaam aesa
Dar-e-Nabi par..
Views: 3177
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!