Chal qalam ab hamde rab maqsood hai
tera mera sub ka jo maabood hai
chal qalam
Hai wohi shaahid wohi mashood hai
noor uska her gara maujood hai
Us ne he bakhshey hain hum ko Mustafa
wo na hon to zindagi be sood hai
Yoon to Quraan hai hidayat ki kitaab
per kisi ka tazkara maqsood hai
Wad duha wash shams jis ki shaan hai
haan wahi Ahmed wohi Mahmood hai
Noor ki barsat hoti hain wahaan
jis jagah per mehfile maulood hai
Azmate Ahmed mein jis ko hai shuba
haan wahi shaitaan wohi mardood hai
Aur jo karta hai un per jaan fida
wo Mubarak hai wohi masood hai
Parhate rahiye nazminaate Mustafa
haan isee mein rooh ki behbood hai
Views: 3489
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!