Rifate mustafai par
arsh ki aql dang hai
unki her eik ada me kya
mehboobiyat ka rang hai
Aghaz se akheer tak
quraan hai naat-e-mustafa
mehboob ke bayan ka
kaisa anokha dung hai
Khusbooe mustafa se hai
dono jahan ki nikhatain
jumbishe lab ki wo ada
mushafe khush tarang hai
Wal lailo wad duha se hai
aqa ke zulfo rukh murrad
dil noor jism noor hai
noorani ang ang hai
Kaisi thi saire laamakan
jo tha nihan huwa ayaan
ruhulameen se poochiye
kaise ka aaj sung hai
Milta mustafa ka dar
aaley rasool ke tufail
marahra se madine tak
roohani eik surang hai
Nazmi kiye he jaaye ga
milade mustafa bayan
is ko kabhi na cherana
sunni bara dabang hai
Nazmi ko naar ki taraf
le chale jab malaika
aaq kahen ke chor do
yeh to mera malang he
Views: 3891
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!