Best view: Rotate device
Sarkaar aap jesa koyi tha na hai na hoga
Jeysein hein aap wesa koyi tha na hai na hoga
Bakhshish ko asiyon ki dunya mey aake fauran
Sajdey mey jaane wala koyi tha na hai na hoga
Meraj key safar mey ummat ko yaad kar key
Asoon bahaney wala koyi tha na hai na hoga
Jab jhoom kar key tootey pyasey to ungliyon se
Darya bahaney wala koyi tha na hai na hoga
Insaan to phir hai insaan par saari khalqato par
Rehmat lutaney wala koyi tha na hai na hoga
Bandhe shikam pe patthar Chulha jale na ghar par
Phir bi khilaney wala koyi tha na hai na hoga
Tha ek hi to pyala sattar jo thay sahaba
Sab ko pilaney wala koyi tha na hai na hoga
Mutthi mai boo jahal ki bejaan Kankari ko
Kalma parhaney wala koyi tha na hai na hoga
Ungli key ek Ishaarey sey chand shaq huwa hai
Sooraj phiraney wala koyi tha na hai na hoga
Dunya se kehdey Rizwan tu hai ghulam-e-hassan
Un sey bhala sanakhwan koyi tha na hai na hoga.
Views: 2053
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!