Best view: Rotate device
Falak ke nazaro zameen ki baharo
Sub Eidein manao Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Uttho bay saharo chalo gham ke maaron
Khabar yeh sunao Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Anokha niraala woh zishaan ayaa
Woh saare Rasoolon ka Sultan ayaa
Arey baadshahon arey kaj’kulaon
Nigahein jhukao Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Sama hai Sana e Habeeb e Khuda ka
Yeh Milad hai Sarware Ambiya ka
Nabi ke gadao sub ek doosre ko
Khabar yeh sunao Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Hawaun me jazbaat hain Marhaba ke
Fazaon me naghmaat Salle’Alla ke
Daroodaun ke gajre Salaamaon ke tohfe
Ghulamo sajaao, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aagaye hain, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aagaye hain, Huzoor aa gaye hain
Huwaa char su Rahmataun ka basera
Ujaala ujaala sawera sawera
Halima ko pohonchi khabar Aamina ki
Mere ghar mae aao, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Kahaan mai Zahuri kahaan unki baatein
Karam hi karam hain yeh din aur raatein
Jahaan par bhi jaao dilaun ko jagao
Yehi kehte jaao, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Views: 38302
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!