Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Be yaar madadgaar tha koi na sahara
Bas doob ne wala hi tha ke paya kinara
Khwaja ke karam ne meri kashti ko ubhara
Isyan ke bhawar se mere Khwaja ne bachaya
Sagar pe anadaaron ne pehra jo lagaya
Paani na kisiko mile yeh hukm sunaya
Irshad usse Khwaja ka khadim ne sunaya
Bas hukm suna Kooze me saagar simat aya
Khwaja ki chati dhoom hai Ajmer nagar me
Paai hai Madine ki jhalak unke sheher me
Hota hai yeh mehsoos hai Taiba ke safar me
Barsaat me rehmat ki har ek shaks nahaya
Aabaad hai bharat ki zameen unke kadam se
Imaan ki daulat bhi mili unke karam se
Hai silsila Ajmer ka Taiba ke haram se
Mujhko mere Khwaja ne Madina bhi dikhaya
Wallah Dar e Khwaja se bat ta hai khazana
Aalam me hai mashoor sakhi unka gharana
Kyo gair se hum jaake kahe gum ka fasana
Darbar e Shahenshah se joh manga hai paya
Ye sach hai mai aasi hu nikamma hu bura hu
Mangta hun tera dar pe tere aan pada hu
Hojaye inaayat tere kadmon me khada hu
Karte ho karam sab pe ho apna ke paraya
Main fir se Madine ki dua maang raha hu
Baghdad bhi jaane ka visa maang raha hu
Yeh kisne kaha hadh se siwa maang raha hu
Jaisa hai sakhi waisi ata maang raha hun
Hoga bada ehsaan joh fir Taiba dikhaya
Tehreek e Sunni Dawat e Islami ko izzat
Miljaye mere Shah hamesha ki yeh khidmat
Ho naksh dilo par bhi teri Mohr e Mohabbat
Ho Shakir o Rizwan pe hamesha tera saaya
Hai faqr mujhe qadri chishti hu mai raashid
In nisbato ke sadqe sabhi dur ho haasid
Tehreek e Sunni Dawat e Islami ka qaasid
Akhtar Raza ke faiz se dar maine ye paaya
Views: 1861
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!