Best view: Rotate device
Woh Sarwar e Kishwar e Risalat joh arsh par jalwa gar huwe the
Naye nirale tarab ke saaman Arab ke mehman ke liye the
Bahar hai shadiya mubarak chaman ko aabadiyan mubarak
Malak falak apni apni lay me yeh ghar aana dil ka bolte the
Wahan falak per yahan zameen me rachi thi shaadi machi thi dhoome
Udhar se anwar haste aate idhar se naf haat uth rahe the
Yeh chut padti thi unke rukh ki ke arsh tak chandni thi chhatki
Woh raat kya jagmaga rahi thi jagah jagah nasb aaine the
Nayi dulhan ki phaban main Kaaba nikhar ke sanwara sanwar ke nikhra
Hajar ke sadqe kamar ke eik til main rang lakhoon banao ke the
Nazar me dulha ke pyare jalwe haya se mehrab sir jhukaye
Siyah parde ke moun per aanchal tajaliye Zaat e Bahat se the
Khushi ke baadal umand ke aaye dilo ke taoos rang laye
Woh Naghma e Naat ka saman tha Haram ko khud wajd aa rahe the
Yeh jhooma Mizab e zar ka jhoomer ke aa raha kaan par dhalak kar
Phuhar barsi toh moti jhar kar Hatim ki gaud me bhare the
Dulhan ki khushboo se mast kapre Nasim e Gustakh aanchloon se
Gilaf e Mushkeen joh oord raha tha ghazal naafe basaa rahe the
Pahadiyoon ka woh husn e Taz'ee woh oonchi choti woh nazo tamqeen
Saba se sabzah me lehre aateen dupatte dhani chune huwe the
Naha ke nehroon ne woh chamakta libas aabay rawan ka pehna
Ki Mauj e Chadiyaan thi dhaar lachka Habab e Tabaan ke thal take the
Purana purdag malgaja tha utha diya farsh chandni ka
Hajoom e Taare nigah se kosoon qadam qadam farsh baadle the
Ghubar ban kar nisaar jaye kahan ab us rah guzar ko paye
Hamare dil huriyo ki aankhe farishto ke par jaha biche the
Khuda hi de sabr Jaan e Purgham dikhao kyu kar tujhe woh aalam
Jab unko jhurmat me laake qudsi jinaa ka dulha bana rahe the
Utar kar unke rukh ka sadqa yeh noor ka but raha tha bada
Ke chand suraj machal machal ker jabeen ki khairat mangte the
Wohi toh ab tak chalak raha hai wohi to joban tapak raha hai
Nahane me joh gira tha pani katore taroon ne bhar liye the
Bacha joh talwoo ka unke dhowan bana woh Jannat ka Rang o Roghan
Jinho ne dulha ki payi utran woh phool Gulzar e Noor ke the
Khabar yeh tehweele maher ki thi ke rut sunhani ghadi phire gi
Wahan ki poshak zay bay tan ki yaha ka joda badha chuke the
Tajaliy e Haq ka sehra sar par Salat o Tasleem ki nichawar
Do roya qudsi pare jama kar kharhe salami ke waaste the
Joh hum bhi waan hote Khaq e Gulshan lipat ke qadmo se lete utran
Magar kare kya naseeb me toh yeh namuradi ke din likhe the
Abhi na aaye the Pusht e Zeen tak ke sir huwi maghfirat ki shallak
Sada shafa’at ne di mubarak gunaah mastana jhoomte the
Ajab na tha rakhsh ka chamakna Gazal e Dam khurdasa bhadakna
Shuaein bukkay urha rahi theen tadapte ankhoon pe saieqe the
Hujum e Umeed hai ghatao muradein de kar inhe hatao
Adab ki baage liye badhao malaika me yeh ghal ghale the
Uthi joh garde rahe munawar woh noor barsa kay raaste bhar
Ghire the badal bhare the jal thal umand ke jangle ubal rahe th
Sitam kiya kaisi mat kathi thi qamar woh khak unkay rah guzar ki
Utha na laya ke milte milte yeh daagh sab dekhte mite the
Burraq ke naqshe sum ke sadqe woh gul khilaye ke sare raste
Mehek te gulban mehakte gulshan hare bhare lahlaha rahe the
Namaz e Aqsa me tha yahi seer ayan houn ma’ani e awwal akhir
Ke dast basta hai piche hazir jo salatanat aage kar gaye the
Yeh unki aamad ka dab daba tha nikhar har shai ka ho raha tha
Nujoom o Aflak Jam o Mina ujalte the khangalte the
Naqab ulte woh Meher e Anwar Jalal o Rukhsar garmiyo par
Falak ko hebat se tap charhi thi tapakte anjum ke aable tha
Yeh joshishe noor ka asar tha ke aabe gohar qamar qamar tha
Safa e Rah se phisal phisal kar sitare qadmon pe laut te the
Badha yeh lehra ke Behr o Wahdat ke dhul gaya Naam e Raige kasrat
Falak ke telo ki kiya haqeeqat yeh Arsh o Kursi do bulbule the
Woh Zil e Rehmat woh rukh ke jalwe ke taare chupte na khilne paate
Sunehri zarbaft udi atlas yeh than sab dhoop chao ke the
Chala woh Serve e Chamaan kharamaa na ruk saka sidra se damaan
Palak jhapakti rahi woh kab ke sab aeno aan se guzar chuke the
Jhalak si ek qudsiyo par aayi hawa bhi daman ki phir na payi
Sawari dulha ki door pohochi barat me hosh hi gaye the
Thake the Roohul Amin ke baazu chuta woh daman kaha woh pehlu
Rikab chooti ummeed tuti Nigah e Hasrat ke walwale the
Ravish ki garmi ko jis ne socha dimag se ek bhabuka phoota
Khirad ke jungle me phool chumka dahar dahar ped jal rahe the
Qavi the Nurgan e Waham ke par udhe toh udne ko aur dam bhar
Uthayi seene ki aisi thokar ke khoone andesha thookte the
Suna yeh itne me Arsh e Haq ne ke le mubarak ho taaj wale
Wohi qadam khair se phir aaye joh pehle Taj e Sharaaf tere the
Yeh sunke be khud pukar utha nisar jau kaha hai aaqa
Phir unke talwo ka pau bosa yeh meri aankho ke din phire the
Jhuka tha mujre ko Arsh e Aala gire the sajde me bazme bala
Yeh aankhe qadmo se mal raha tha woh girde qurbaan ho rahe the
Ziyae kuch arsh par yeh aaein ke saari qindileen jhilmilayeen
Huzoor e Khurshid kya chamakte chairagh moun apna dekh te the
Yehi sam’an tha kay paike rehmat khabar yeh laya ke chaliye Hazrat
Tumhari khatir kushada hai woh joh kalim par band raste the
Badh aye Muhammad qaree ho Ahmed qareeb aa Sarwar e Mumajjad
Nisar jau yeh kiya nida thi yeh kiya samaan tha yeh kiya maze the
Tabarakallah shaan teri tujhi ko zaiba hai be niyazi
Kahi toh woh Josh e lan-tarani kahi takaze visal ke the
Khirad se keh do ke sir jhuka le gumaan se guzre guzarne wale
Pare hai yahan khud jaihat ko laale kise bataye kidhar gaye the
Surag aino mataa kahaan tha Nishan e Kaifo illa kaha tha
Na koi rahi na koi sathi naa Sang e Manzil na merhale the
Udar se paiham taqaze aana idhar se mushkil qadam barhana
Jalal o Haibat ka saamna tha jamalo rehmat ubhartr the
Barhe toh lekin jhee-jhaktay darte haya se jhukte adab se rukte
Joh qurb unhi ki ravish pe rakhte toh lakho manzil ke fasile the
Par unka barhna toh naam ko tha haqeeqatan fail tha udhar ka
Tanazulo me taraki afza dana tadalla ke silsile the
Huwa yeh aakhir ke ek bajra tamoje bahre ho me ubhra
Dana ki godi me unko lekar fana ke langar utha diye the
Kise mile ghat ka kinara kidar se guzra kaha utra
Bhara joh misle nazar tarara woh apni aankho se khud chupe the
Uthay joh Qasre dana ke parde koi khabar de toh kiya khabar de
Wahan toh ja hi nahi duee ki na keh ke woh bhi na the aray the
Woh baag kuch aisa rang laya ke Guncha o Gul ka faraq uthaya
Girah me kaliyo ki baag phoole gulo ke takme lage huwe the
Muhito markaz me faraq mushkil rahe na faasil Khutoot e Wasil
Kamaan e Hairat me sir jhukaye ajeeb chakar me dayere the
Hijab uhnay me lakho parde har ek parde me laakho jalwe
Ajab ghari thi ke waslo furqat janam ke bichre gale mile the
Zabane sukhi dikha ke moje tarap rahi thi ke pani paein
Bhanwar ko yeh zofe tashnagi that ke halqe aankho me par gaye the
Wohi hai awwal wohi hai aakhir wohi hai batin wohi hai zahir
Usi ke jalwe usi se milne usi se uski taraf gaye the
Kaman e Imakan ke jhute nukto tum awwal akhir ki phair me ho
Muhit ki chal se toh pucho kidhar se aaye kidhar gaye the
Udhar se teen nazre shah namaze idhar se Inaam e Khusravi me
Salam o Rehmat ke haar gundh kar glue e pur noor me pare the
Zabaan ko intezar guftan toh gos ko Hasrat e Shunidan
Yahan joh kehna tha keh liya tha joh baat sunni thi sun chuke the
Woh Burj e Batha ka mahpara bahishat ki sair ko Sidhara
Chamak pe tha khuld ka sitara ke iss qamar kay qadam gaye thay.
Suroor e maqdam ki roshni thi kay tabisho se Mah e Arab ki
Jina ke gulshan the jhaar farshi joh phool the sab kanwal bane the
Tarab ki nazish ke haan lachakiye adab woh bandish ke hil na sakiye
Yeh Josh e Ziden tha keh poday kasha Kish e Arah ke tale the
Khuda ki qudrat keh chand haq ke karoro manzil me jalwa kar ke
Abhi na taroon ki chaoon badli keh noor ke tarke aa liye the
Nabi e Rehmat Shafi e Ummat Raza pe Lillah ho inayat
Isse bhi un khalato se hisa joh khas rehmat ke waan bate the
Sana e Sarkar hai wazifa Qabool e Sarkar hai tamanna
Na shayari ki hawas na parwah radi thi kiya kaise kafiye the
Views: 3740
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!