Best view: Rotate device
Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala
Jin Ko Unka Qurb Mila Hai, Ban Gaye Hadi-o-raah Numa
Sab Par Unki Chashme Karam Hai, Wah Re Shaane Judo Sakha
Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala
Dekh Ke Apni Farze Amal Ko, Aasi Jab Sharmaen Gey
Ummat Se Kuch Pyar Hai Aisa, Khud Woh Karam Farmaen Gey
Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala
Un Par Apna Tan Man Warun, Warun Husne Kouno Makaa’n
Haasil Unke Sadqey Mein Hai, Izzat-o-azmat Naam-o-nishan
Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala
Mehfiley Naat Ki Baat Na Pucho, Khud Woh Karam Farmatey Hain
Jin Pe Karam Hota Hai Unka, Unke Din Phir Jate Hain
Namey MuhammadbSalley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala
Unki Bhik Pe Sab Paltey Hain, Unke Mungtey Shahon Gada
Dar Se Koi Khali Na Lauta, Daata Ki Yeh Shaane Ata
Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala
Jab Koi Mushkil Pesh Aai Hai, Dil Ne Unko Pukara Hai
Anjum Apna To Yeh Yaqin Hai, Unka Karam Ho Jata Hai
Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala
Views: 1672
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!