Best view: Rotate device
Nabi kay ishq nay jis ko haseen banaaya hay
Wohi Fareed, Wohi Data ban kay aaya hay
Nabi kay ishq nay Jahaa kahee bhi kadam maira dagmagaaya hay
Sahaara denay karam Aapka he aaya hay
Nabi kay ishq nay
Sata sakkay gee na humko ye garmiy-e-Mehsher
Hamaaray ser pay Habeebay KHUDA ka saaya hay
Nabi kay ishq nay
Issi tamanna may jeeta hoo koi ye keh day Ya RASOOLALLAH
Challo challo tumhay Sarkaar nay bulaaya hay
Nabi kay ishq nay
Bura samajh kay jahaan nay jo tak diya jiss ko
Tairey karam nay ussay bhi gallay lagaaya hay
Nabi kay ishq nay
Farishtay aatay hain rehmat kay uss kay ghar jiss nay
Tumhari zikr ki mehfil say ghar sajaaya hay
Nabi kay ishq nay
Jo sang kha kay bhi ta’if may muskuraaya hay
Wo koi aur nahi Aamna (radi Allahu ‘anha) ka jaaya hay
Nabi kay ishq nay
Ghammay Habeebay KHUDA nay jissay nawaaz diya
Aleem aalamay gham may bhi muskuraaya hay
Nabi kay ishq nay jis ko haseen banaaya hay
Wohi Fareed, Wohi Data ban kay aaya hay
Views: 2472
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!