Khula hai subhi ke liye,
Baab e Rehmat!
Wahan koee rutbe mein,
Adnaa na aali!
Muraadon se daaman,
Nahin koee khali,
Qataarein lagae,
Kharrein hein sawali!
Mein pehle pehel,
Jub Madinei gaya tha!
To thi dil ki halut,
Tarrup jaanei wali!
Woh darbaar such much,
Merei samnei tha!
Abhi tuk tasawwur,
Tha jis ka khayali!
Mein aik haath se,
Dil sambhale hue tha,
To thi doosre haath,
Rauze ki jaali!
Dua ke liye haath,
Uthte to keisei,
Na yeh haath khali,
Na woh haath khali!
Jo poocha hei tum ne,
Kei mein nazar karne!
Ko kia le gaya tha,
To tafseel sun lo!
Tha naaton ka aik haar,
Ashkon ke moti!
Duroodon ka gujra,
Salaamon ki daali!
Dhani apni qismat ka,
Hai to wohi hai!
Dayar e Nabi jis ne,
Aankhon se deikha!
Muqaddar hai sacha,
Muqaddar usi ka!
Nigah e karum jis pe,
Aaqa ne daali!
Mein uss Aastaan e Haram ka gadaa hoon,
Jahan sar jhukate hein,
Shaahaan e Aalam!
Mujhe taajdaron se kam mut samajhna,
Mera sar hai,
Shaayaan e taaj e Bilali!
Khula hai subhi ke liye,
Baab e Rehmat!
Wahan koee rutbe mein,
Adnaa na aali!
Muraadon se daaman,
Nahin koee khali,
Qataarein lagae,
Kharrein hein sawali!
Views: 1518
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!