Connected to database. Category load error - contact developer: info@mis-productions.co.uk Naat Lyrics


NEW APP BY MIS
Daily Deeds


  • Method of Tayammum, Ghusl, Whudu, Janazah, Daily Duas, Sunnahs and more! -
    CLICK ABOVE ICON

    Best view: Rotate device


    Mujh pe maula ka karam hai unki naatein parta hoon
    Daaman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon
    Mai sadqe Ya Rasoolallah Mai sadqe Ya Habiballah

    Dhoom unki naat khwani ki machate jayenge
    Ya Rasoolallah ka narah lagate jayenge
    Naat Khwani maut bhi hamse chura sakhti nahi
    Qabr me bhi mustafa ke geet gaate jayenge

    Mujh pe maula ka karam hai unki naatein parta hoon
    Daaman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon
    Mai sadqe Ya RasoolAllah Mai sadqe Ya HabibAllah

    Jitna diya sarkar ne mujh ko utni meri awkat nahi
    Yeh toh karam hai unka warna mujh me toh aisi baat nahi
    Gaur toh kar sarkar ki tujh par kitni khaas inayat hai
    Kauthar tu hai unka sana khwan yeh maamooli baat nahi

    Mujh pe maula ka karam hai unki naatein parta hoon
    Daaman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon
    Mai sadqe Ya RasoolAllah Mai sadqe Ya HabibAllah

    Koi guftagoo ho lab par tera naam aa gaya hai
    Tera zikr karte karte yeh maqaam aa gaya hai
    Jisse pike sheikh saadi Balagal Ulah pukare
    Mere daast naatawa me wohi jaam aagaya hai

    Mujh pe maula ka karam hai unki naatein parta hoon
    Daaman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon
    Mai sadqe Ya RasoolAllah Mai sadqe Ya HabibAllah

    Saadaein Duroodo(n) ki aati rahe jinhe sunn kar dil shaad hota rahega
    Khuda Ahle Sunnat ko aabad rakkhe Muhammad ka milad hota rahega

    Mujh pe maula ka karam hai unki naatein parta hoon
    Daaman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon
    Mai sadqe Ya RasoolAllah Mai sadqe Ya HabibAllah

    Gham nahi chor de yeh sara zamaana mujhko,
    Mere Aaqa hai seene se lagane ke leye
    Baksh di naat ki daulat mere Aaqa ne Mujhe
    Kitna pyaraa hai waseela Sarkar ko paane ke liye

    Mujh pe maula ka karam hai unki naatein parta hoon
    Daaman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon
    Mai sadqe Ya RasoolAllah Mai sadqe Ya HabibAllah

    Tera wasf bayan ho kisse, Teri kaun karega badayi
    Iss gard e safar me gum hai, Jibreel e Amin ki rasayi
    Aye Raza khud Sahib e Quran hai Mad’ha hau huzoor
    Mujhse kab munkin hai Midhat Rasoolullah ki

    Mujh pe maula ka karam hai unki naatein parta hoon
    Daaman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon
    Mai sadqe Ya RasoolAllah Mai sadqe Ya HabibAllah





    *** Like The App? ***- Please post a review


    Views: 3204

    New Naat Translation

  • Eik Mein Hi Nahi Un Par, Qurban Zamana

    Knowledgewise By MIS

  • Search 'Knowledgewise' on Google podcasts, Apple podcasts or Spotify