Best view: Rotate device
Taiba ke jaane wale, Jakar baray aadab say
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
Taiba ke jaane waley
Kehna kay shahey dee, eik be kasi ka mara
Dono jahan mein iska, hai app hi sahara
Halaate pur aalam say, har dam guzar raha hai
Aurkanptay labhoun say, faryaad ker raha hai
Baaray gunah apna, hai dosh per uthaye
Koi nahin hai rehbar, hai aap hi sahaara
Senay mein hai andhera, dil hai siyah khana
Yeh hey meri kahani sarkar ko sunana
Kehna meray Nabi say, mehroom hoon khushi say,
Sar per eik abray gham hai, Ashkoon say aankh naam hai,
Pamalezindagi hoon, sarkar ummati houn,
Ummat kayrehnuma ho, kuch arze hal sunlo,
faryaad ker raha houn, Mein dil figar kab say,
Mera bhi kisa e gham kehna shahe arab sai.
Chorus:
Taiba kay janaywalay, Jakar barayaadab say
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
Teiba Ke Jane Vale
Kehna kaykha raha houn, mein thokarein jahan mein
Tum hee batao aaqa, jaoon bhala kahan main
Mehsoos ker raha houn, duniya hai aik dhoka
Matlab kay yaar hain sab, koi nahin kisi ka
Kis ko mein apna janoon, kis ka main loun sahara
Mujko to meray aaqa hai aap ka sahara
Tum hi suno gay meri, tum hee karam karo gey
Dono jahan mein tumhi,mera bharam rakho gey.
Tum daad kha e alam, mein eik naseeb e barham
Tum baykasoun kay wali, main bay nawas wali
Tum aasiyoon ka yaara, mein gardishoon ka mara
Rehmat ho tum sarapa, main murtiqam khata ka
Houn sharam sar apnay, aamal kay sabab say
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say
Chorus
Kehna kay dil mein lakhoon armaan bharay huay hain
Kehna kay hasratoon kay nashtar chubhay huey hein
Hai arzoo yeh dil ki, mein bhi madinay jayoun
Sultan e dojahan ko, sab dagh e dil dikhoon.
Khatoun hazar chakar, taiba ki har gali kay
Youn hee guzar doun mein, aayam zindagi kay.
Phooloon pay jaan nisaroon, katoun paydil ko waroun
Zaroun ko doun salami, dar ki karoun ghulami
Deewar o dar ko chou
Views: 3177
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!