Best view: Rotate device
Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain,
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.
Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye,
Kahan say kisnay pukara, huzoor jante hain.
Haran yeh kehne lagi chor de mujhe sayaad
Main lowt aawungi wallah, huzoor jaante hain
Haran ne oonth ne chiryoon ne ki yehi faryaad,
Ke unkay gham ka madawa, huzoor jante hain.
Boola rahay hey nabi jaake itna bol use
Darakh kaisey chaley ga, huzoor jantay hain.
Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba,
Ke Jang e Badr ka naqsha, huzoor jante hain.
Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein,
Ke yaar e ghar ka rutba, huzoor jante hain.
Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka,
Woh apna hai ke paraya, huzoor jante hain.
Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya,
Mizaaj Umar ka hai kaisa, huzoor jante hain.
Wohi hai paikar e sharm o haiya o zun nuraian,
Maqaam unki haya ka, huzoor jante hain.
Woh khud shaheed hain, betay nawasay potay shaheed,
Ali ki shaan e yagana, huzoor jante hain.
Hain jiske moula huzoor uske hain Ali moula,
Abu Turab ka rutba, huzoor jante hain.
Main unki baat karoon yeh kahan meri auqaat,
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain.
Jina mein kaun hain sardaar nojawanoon kay,
Hasan, Hussain ke nana, huzoor jante hain.
Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke,
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain
Khuda hi jaanay ubaid unko hai pata kiya kiya,
Hamein pata hai bus itna, huzoor jante hain.
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.
Views: 7709
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!