Connected to database. Category load error - contact developer: info@mis-productions.co.uk Naat Lyrics
Best view: Rotate device


Ahmad Raza ka taza gulistan hai aaj bhi
Khursheed ilm un ka darakhshaan hai aaj bhi

arsah hua woh mard e mujaahid chalaa gayaa
sunniyon main aik sozish e pinhaan hai aaj bhi

imaan paa rahaa hai halaawat ki naematein
aur kufr tere naam se larzaan hai aaj bhi

kis tarah itne ilm ke daryaa bahaa deyee
ulamaa e haq ki aql to hayraan hai aaj bhi

maghmum ahl e ilm nah hon kyun tere liye
jab ‘ilm khud hi sar bagareeban hai aaj bhi

sab unke jalne walon ke ghu ho gaye chiraagh
Ahmad Raza ki sham’a farozaan hai aaj bhi

ishq e Habib e Paak mein dubaa hua kalaam
sarmaayah nishaat sukhandaan hai aaj bhi

bhar di diloun mein ulfat o azmat Rasul ki
jo makhzan e halaawat e imaan hai aaj bhi

tum kya gaye ke rawnaq e mehfil chali gayei
sh’er o adab ki zulf e pareshaan hai aaj bhi

aalim ki mawt kehte hain aalam ki mawt hai
apne kiye peh mawt pasheeman hai aaj bhi

wabastagaan kyun hon pareeshaan un peh jab
lutf o karam unka damaan hai aaj bhi

lillah apne faiz se ab kaam lejiye
fitnoun ke sar uthaane kaa imkaan hai aaj bhi

Taibah main us ki zaat salaamat rahe keh jo
teri amaanatoun kaa nighehbaan hai aaj bhi

Mirza sare niyaaz jhukaataa hai is liyee
'ilm o 'amal peh aap ka ihsaan hai aaj bhi


 
Views: 1792

Appearance of Prophet (PBUH)
MIS Productions · Blessed Appearance





Like The App?
Post a review!