Best view: Rotate device
Ai Khuda ilteja hai yeh meri Unke Jalwaun me yoon maut aaey
Jaan Qadmau me nikle Nabi ke aur waheen mujh ko dafnaya jaae
Aarzoo hai yeh bus mere AQA maut aae to iss tarha aae
Dhoom se nikle mera janazah meri maiyat Madine ko jaae
Aarzoo hai yehi apne dil me mil ke hum sab Madine ko jaae
Dhoom se nikle hum apne ghar se aur Khaak e Madina bulaae
Hai sahara Hamay Mustafa ka chor de chorti hai to duniya
Hum se Daman Nabi ka na chuthay chahay sara jahaan chooth jaae
aankh jhapke to iss tarha jhapke neend aae to iss tarha aae
Unki chukhat pe hum so rahe ho aur Azaan e Bilali jagaae
Aabroo mere AQA bachana kyun ke dushman huwa hai zamana
mere AQA na Tum rooth jana, chahe sara jahaan rooth jaae
Ya Nabi Tujhse milta hai sab kuch maut par bhi Nigahe Karam ho
Khaake Taibah ho hum ko mayas’sar Qabr Noor se jag magaae
Azmate Mustafa kya bayaan ho Shaan mere Nabi ki na poocho
Behre Tazeem sara zamanah Unki Chaukhat pe sar ko jhukaae
Lutf jab hai Dar e Mustafa par sar jhukate hi dum toot jaae
Aabe Kauthar se ho ghusl Rizwaan har farishta janazah utha
Views: 8311
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!