Best view: Rotate device
Waah kya Jood-o-Karam hay shah-e-batha teraa,
Nahi sunta hi nahin maangne waala teraa.
Dhaare chalte hain ataa key woh hay qatrah teraa,
Taare khilte hain sakha key woh hay zarrah teraa.
Faiz hay ya shah-e-tasneem niralaa teraa,
Aap pyaason key tajassus mein hay daryaa teraa.
Aghniya palte hain dar sey woh hay baara teraa,
Asfiya chalte hain sar sey woh hay rasta teraa.
Farsh waale teri shaukat ka uloo kya jaanein,
Khusrawaa arsh pe urta hay pharera teraa.
Aasmaan khwaan, zameen khwaan, zamaana mehmaan,
Saahib-e-khaana laqab kis ka hay teraa teraa.
Main to maalik hi kahunga key ho Maalik key Habeeb
Yaani mehboob-o-muhib mein nahin meraa teraa.
Tere qadmon mein jo hain ghair ka munh kya dekhein,
Kaun nazron pe charhe dekh key talwaa teraa.
Behr-e-Saail ka hoon saail nah kunwe ka pyasaa,
Khud bujhaa jaaye kaleja mera cheenta teraa.
Chor hakim sey chupa karte hain yaa’n uske khilaaf,
Tere daaman mein chupe chor anokha teraa.
Aankhein thandi hon jigar taaze hon jaanein sairaab,
Sachhe sooraj woh dil aaraa hay ujaala teraa.
Dil abas khauf sey patta saa uraa jaata hay,
Palla halka sahi bhaari hay bharosa teraa.
Ek main kya mere isiyaan ki haqeeqat kitni,
Mujh sey sau laakh ko kaafi hay ishaara teraa.
Muft paala thaa kabhi kaam ki aadat na parri,
Ab ‘amal poochte hain haaye nikamma teraa.
Tere tukron sey pale ghayr ki thokar pe na daal,
Jhirkiyaan khaayein kahaan chhor key sadqa teraa.
Khwaar-o-beemaar-o-khatawaar-o-gunahgaar hoon mein,
Raafe-o-naafe-o-shaafe laqab aaqa teraa.
Meri taqdeer buri ho toh bhali kar dey key hay,
Mehwe isbaat key daftar pey karora teraa.
Tu jo chaahe toh abhi mail mere dil key dhulein,
Key Khuda dil nahin karta kabhi mailaa teraa.
Kis ka munh takiye kahaan jaaiye kis sey kahiye,
Tere hi qadmon mein mit jaaye yeh paala teraa.
Tu ney islaam diya tu ney jama’at me liyaa,
Tu kareem ab koi phirta hay ‘atiyyah teraa.
Maut suntaa hoon sitam talkh hay zehr aab-e-naab,
Kaun laa dey mujhe talwon ka ghasaalah teraa.
Door kya jaaniye badkaar pey kaisi guzre,
Tere hi dar pey mare bekas-o-tanhaa teraa.
Tere sadqe mujhe ik boond bohot hay teri,
Jis din achon ko mile jaam chalaktaa teraa.
Haram-o-Taibah-o-Baghdaad jidhar kijiye nigaah,
Jowt parti hay teri noor hay chantaa teraa.
Teri sarkaar me laata hay RAZA usko shafee’,
Jo meraa Ghaus hay or laadlaa betaa teraa.
Views: 18782
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!