Best view: Rotate device
Lutf unka aam ho hi jaayega,
Shaad har naa kaam ho hi jaayega.
Jaan de do waada-e-deedar par,
Naqd apna daam ho hi jaayega.
Shad hay firdous yaani ek din,
Qismat-e-khuddam ho hi jaayega.
Yaad reh jaayengi yeh be baakiyaan,
Nafs to to raam ho hi jaayega.
Be nishaano ka nishaan mit ta nahin,
Mit te mit te naam ho hi jaayega.
Yaad-e-gesu zikr-e- Haq hay aah kar,
Dil mein paida laam ho hi jaayega.
Ek din awaaz badleinge yeh saaz,
Cheh chaha kohraam ho hi jaayega.
Saailo daaman sakhi ka thaam lo,
Kuch na kuch in’aam ho hi jaayega.
Yaad-e-abru karke tarpo bulbulo,
Tukre-tukre daam ho hi jaayega.
Mufliso unki gali mein jaa paro,
Baagh-e-Khuld ikraam ho hi jaayega.
Gar yoonhi rahmat ki taawilein rahein,
Madh har ilzaam ho hi jaayega.
Baadah khawaari ka samaan bandhne to do,
Shaikh durd aa sham ho hi jaayega.
Gham to unko bhool kar lipta hain yoon,
Jaise apna kaam ho hi jaayega.
Mit key gar yoonhi raha qarz-e-hayaat,
Jaan ka neelaam ho hi jaayega.
Aaqilo unki nazar seedhi rahe,
Bauron ka bhi kaam ho hi jaayega.
Ab to laayi hay shafa’at afw par,
Barhte barhte aam ho hi jaayega.
Aay RAZA har kaam ka ek waqt hay,
Dil ko bhi aaraam ho hi jaayega.
Views: 1763
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!