Best view: Rotate device
Kharaab haal kiya dil ko pur malaal kiya,
Tumhare kooche sey rukhsat kiya nihaal kiya.
Na rooye gul abhi dekha na booye gul soonghi,
Qaza ne laake qafas mein shikasta baal kiya.
Woh dil key khoon shudah armaan the jis mein mal daala,
Fughaan key gor-e-shahidaan ko paayemaal kiya.
Ye raaye kya thi wahan sey palatne ki aay nafs,
Sitam gar ulti churi sey hamain halaal kiya.
Ye kab ki mujh sey adawat thi tujh ko aay zaalim,
Churaa key sang-e-dar-e-paak sar wabaal kiya.
Chaman sey phenk diya aashiyana-e-bulbul,
Ujaara khaana-e-be kas bara kamaal kiya.
Tera sitam zadah aankhon ne kya bigaara tha,
Ye kya samai key door un sey woh jamaal kiya.
Huzoor un key khyal-e-watan mitaana tha,
Ham aap mit gaye ache faraagh baal kiya.
Na ghar ka rakha na is dar ka haaye naa kami,
Hamari be basi par bhi na kuch khyaal kiya.
Jo dil ne mar key jalaya tha mannato ka charaagh,
Sitam key arz rah-e-sar sar zawaal kiya.
Madinah chor key weerana hind ka chaya,
Ye kaisa haaye hawaason ne ikhtilaal kiya.
Tu jis key waaste chor aaya Taiba saa Mahboob,
Bata to is sitam aara ne kya nihaal kiya.
Abhi abhi to chaman mein thay chehchahe naa gaah,
Ye dard kaisa utha jis ne jee nidhaal kiya.
Ilahi sun le RAZA jeete jee key Mawla ne,
Sagaan-e-koocha mein chehra-e-mera bahaal kiya.
Views: 1719
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!