Best view: Rotate device
Hay kalaam-e-Ilaahi mein shams-o-duhaa tere chehra-e-noor fiza ki qasam,
Qasam-e-shab-e-taar mein raaz ye tha key Habeeb ki zulfe do taa ki qasam.
Tere khulq ko haq ne azeem kaha teri khalq ko haq ne jameel kiya,
Koi tujh sa hua hay na hoga shaha tere khaaliq-e-husn-o-ada ki qasam.
Wo Khuda ne hay martaba tujh ko diya na kisi ko mile na kisi ko mila,
Ke kalaam-e- majeed ne khaai shaha tere shaher-o-kalaam-o-baqaa ki qasam.
Tera masnade naaz hay arsh-e-bareen tera mehram-e-naaz hay roohe ameen,
Tu hi sarwar-e-har do jahaan hay shaaha tera misl nahin hay Khuda ki qasam.
Yahi arz hay khaaliq-e-arz-o-samaa woh Rasool hain tere main banda tera,
Mujhe unke jawaar mein de wo jagah key hay khuld ko jis ki safaa ki qasam.
Tu hi bandon pe karta hay lutf-o-ataa hay tujhi pe bharosa tujhi sey dua,
Mujhe jalwa-e-paak Rasool dikha tujhe apne hi izz-o-ulaa ki qasam.
Mere garche gunaah hain had sey siwa magar un sey umeed hay tujh sey rajaa,
Tu Rahim hay unka karam hay gawaah wo Karim hain teri ataa ki qasam.
Yahi kehti hay bulbule baaghe jinaa key RAZA ki tarah koi sehr bayaan,
Nahin hind mein waasif-e-shaah-e-huda mujhe shokhiye tab’-e- RAZA ki qasam.
Views: 3363
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!