Best view: Rotate device
Rashke qamar hoon rang rukh-e-aftaab hoon,
Zarra tera jo aay shahe gardun janaab hoon.
Durre najaf hoon gauhar-e-paak-e-khushab hoon,
Yani turaab-e-rah guzar-e-bu turaab hoon.
Gar aankh hoon to abr ki chashme pur aab hoon,
Dil hoon toh bark ka dil-e-pur izteraab hoon.
Khoonain jigar hoon ta-ir-e-be aashiya(n) shaha,
Range pareedah-e- rukhe gul ka jawab hoon.
Be aslo be sabaat hoon bahre karam madad,
Parwarda-e-kinaare suraabo habaab hoon.
Ibrat feza hay sharm-e-gunah sey mera sukut,
Goya lab-e-khamosh-e-lahad ka jawab hoon.
Kyoon naala soz sey karu kyoon khoon-e-dil piyoon,
Seekh-e-kabaab hoon na mai jaam-e-sharab hoon.
Dil basta bekaraar jigar chaak ashkbaar,
Ghuncha hoon gul hoon barke tapaa(n) hoon sahaab hoon.
Daava hay sabse teri shafa'at pe beshtar,
Daftar me aasiyo key shahe intekhab hoon.
Maula duha-i nazro sey gir kar jalaa ghulam,
Ashqe mujhra raseeda-e- chashme kabaab hoon.
Mit jaye ye khudi to wo jalwa kahaan nahi,
Darda me aap apni nazar ka hijaab hoon.
Views: 1833
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!