Best view: Rotate device
Phir key gali gali tabaah thokarein sabki khaayein kyoon,
Dil ko jo aql de Khuda teri gali sey jaaye kyoon.
Rukhsat-e-qaafila ka shor ghash sey hamein uth aye kyoon,
Sote hain unke saaye mein koi hamain jagaye kyoon.
Baar na thay habeeb ko paalte hi ghareeb ko,
Royein jo ab naseeb ko chain kahan ganwaaye kyoon.
Yaad-e-Huzoor ki qasam ghaflat-e-aish hay sitam,
Khoob hay qaid โ-e-gham mein ham koi hamein churaye kyoon.
Dekh key hazrat-e-Ghani phail pare faqeer bhi,
Chaayi hay ab to chaaoni hashr hi aa na jaaye kyoon.
Jaan hay ishq-e-Mustafa roz fazoon kare Khuda,
Jis ko ho dard ka mazaa naaz-e-dawa uthaye kyoon.
Ham to hain aap dil figaar gham mein hansi hay naa gawaar,
Cher key gul ko nau bahaar khoon hamein rulaaye kyoon.
Yaa to yoon hi tarap key jaayein ya wahi daam sey churayein,
Mannat-e-ghair kyoon uthayein koi taras jataaye kyoon.
Un key jalaal ka asar dil sey lagaaye hay qamar,
Jo key ho laut zakhm par daagh-e-jigar mitaye kyoon.
Khush rahe gul sey andaleeb khaar-e-haram mujhe naseeb,
Meri balaa bhi zikr par phool key khaar khaaye kyoon.
Gard-e-malaal agar dhule dil ki kali agar khile,
Barq sey aankh kyoon jale roone pe muskuraaye kyoon.
Views: 2108
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!