Best view: Rotate device
Wasfe rukh unka kiya karte hain sharh-e-wash-shams-o-dhuha karte hain,
Unki hum maddh-o-thana karte hain jinko Mahmood kaha karte hain.
Maahe shaq gashta ki soorat dekho kaamp kar mehr ki raj'at dekho,
Mustafa pyaare ki qudrat dekho kaise ayjaz hua karte hain.
Tu hay khursheed-e-risalat pyare chup gaye teri ziya main taare,
Ambiya aur hay sab mah-paare tujhse hi noor liya karte hain.
Ay balaa be khirdi-e- kuffar rakhte hain aise key haq main inkaar,
Ke gawahi ho gar usko darkaar be zabaa(n) bol utha karte hain.
Apne Maula ki hay bas shaan-e-azeem jaanwar bhi kare jinki ta'zeem,
Sang karte hain adab sey tasleem per sajde me gira karte hain.
Rif'ate zikr hay tera hissa dono ‘aalam me hay tera charcha,
Murgh-e-firdous pas az hamde Khuda teri hi madh-o-thana karte hain.
Ungliyaan paayi wo pyaari-pyaari jinse dariya-e-karam hay jaari,
Josh par aati hay jab ghamkhwari tishn-e-sairaab huwa karte hain.
Haa(n) yahi karti hain chirriya(n) fariyaad haa(n) yahin chaahti hay hirni daad,
Isi dar par shutraan-e-naashaad gil-e- ranjo ‘anaa karte hain.
Aasteen rehmat-e-‘aalam ulte kamare paak pe daaman baandhe,
Girne waalo ko kucha-e-dohzakh sey saaf alag kheench liya karte hain.
Jab sabaa aati hay Taibah sey idhar khilkhila parrti hay kaliya(n) yaksar,
Phool jaamah sey nikal kar baahar rukhe rangeen ki thana karte hain.
Tu hay woh badshah-e-kouno makaa(n) ki malake haft falak key har aa(n),
Tere Maula sey shah-e-arsh ‘aywa(n) teri daulat ki dua karte hain.
Jiske jalwe sey uhud haytaabaa(n) ma'dane noor hay uska daamaa(n),
Hum bhi us chaand pe ho kar qurbaa(n) dil-e-sangi ki jila karte hain.
Kyo na zeba ho tujhse taajwari tere hi dam ki hay sab jalwa gari,
Malak-o-jinn-o-bashar hoor-o-pari jaan sab tujh pe fida karte hain.
Toot parrti hain balayein jin par, jinko milta nahin koi yaavar,
Har taraf sey wo pur armaa(n) phir kar unke daaman mein chupa karte hain.
Lab par aa jaata hay naam-e-janaab muh me ghul jaata hay shahde naayaab,
Wajd me ho key hum ay jaa(n) betaab apne lab choom liya karte hain.
Lab pe kis muh sey ghum-e-ulfat laye(n) kya balaa dil hay alam jiska sunayein,
Hum to unke kafe paa par mit jaye unke dar par jo mita karte hain.
Apne dil ka hay unhi sey aaram sompe hay apne unhi ko sab kaam,
Lou lagi hay key ab us dar key ghulaam chaara-e- dard-e-RAZA karte hain
Views: 2624
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!