Connected to database. Category load error - contact developer: info@mis-productions.co.uk Naat Lyrics


NEW APP BY MIS
Daily Deeds


  • Method of Tayammum, Ghusl, Whudu, Janazah, Daily Duas, Sunnahs and more! -
    CLICK ABOVE ICON

    Best view: Rotate device


    Pul say utaaro raah ghuzar ko khabar na ho,
    Jibreel par bichaaeyn to par ko khabar na ho.

    Kaantaa mere jigar say gham-e-rozgaar ka,
    Yoon kheench leeyjiey kay jigar ko khabar na ho.

    Faryaad ummati jo karay haal-e-zaar mein,
    Mumkin nahin kay khair-e-bashar ko khabar na ho.

    Kehtee they yeh buraaq say uski sabak raveey,
    Yoon jaaiey kay gard-e-safar ko khabar na ho.

    Farmaatay hein yeh dono hein sardaar-e-do jahaan,
    Aay Murtazaa! Ateeq-o-Umar ko khabar na ho.

    Aysa gumaa day un ki vilaa mein Khuda humein,
    Dhoondhaa karay par apni khabhar ko khabar na ho.

    Aa dil! Haram ko roknay waalon say chup kay aaj,
    Yoon uth chaleyn kay pehlo wabar ko khabar na ho.

    Tair-e-Haram hain yeh kaheen rishta bapaa na hon,
    Yoon daykhiyeh kay taar-e-nazar ko khabar na ho.

    Aay khaar-e-Taibah! Daykh kay daaman na bheeg jaey,
    Yoon dil mein aa kay deedah-e-tar ko khabar na ho.

    Aay shauq-e-dil! Yeh sajdah ghar un ko ravaa nahin,
    Acha! Woh sajda kijiey key sar ko khabar na ho.

    Un kay sivaa RAZA koi haami nahin jahaan,
    Guzra karay pisar pay pidar ko khabar na ho.





    *** Like The App? ***- Please post a review


    Views: 1472

    New Naat Translation

  • Eik Mein Hi Nahi Un Par, Qurban Zamana

    Knowledgewise By MIS

  • Search 'Knowledgewise' on Google podcasts, Apple podcasts or Spotify