Best view: Rotate device
Yaa Ilaahi har jagah teri ‘ataa ka saath ho,
Jub parre mushkil Shahe mushkil Kusha ka saath ho.
Yaa Ilaahi bhool jaoon naz’a ki takleef ko,
Shaadiy-e-deedar-e-husn-e-Mustafa ka saath ho.
Yaa Ilaahi gor-e-teera ki jab aaye sakht raat,
Unke pyaare moonh ki subh-e-jaan fizaa ka saath ho.
Yaa Ilaahi jub parre mahshar me shor-e-daar-o-geer,
Amn dene waale pyaare peshwaa ka saath ho.
Yaa Ilaahi jab zubaanein baahar aayein pyaas sey,
Saahib-e-kauthar shah-e-jood-o-ataa ka saath ho.
Yaa Ilaahi sard muhri par ho jab khursheed-e-hashr,
Sayyid-e-be-saaya key zille-e-liwaa ka saath ho.
Yaa Ilaahi garmi-e-mahshar say jab bharke badan,
Daaman-e-mahboob ki thandi hawaa ka saath ho.
Yaa Ilaahi nama-e-a'maal jub khulne lagein,
Aib posh-e-khalq sattaar-e-khata ka saath ho.
Yaa Ilaahi jab bahe aankhein hisaab-e-jurm mein,
Un tabassum rez honton ki du’aa ka saath ho.
Yaa Ilaahi jab hisaab-e-khanda-e-bejaa rulaaye,
Chashm-e-giryaane shafi-e-murtaja ka saath ho.
Yaa Ilaahi rang laayein jab mere be baakiyaan,
Unki neechi neechi nazron ki hayaa ka saath ho.
Yaa Ilaahi jab chaloon taareek raah-e-pul siraat,
Aftaab-e-Haashmi noor-ul-huda ka saath ho.
Yaa Ilaahi jab sar-e-shamsheer par chalna pare,
Rabbe sallim kehne waale ghamzudah ka saath ho.
Yaa Ilaahi jo Du’aa-e-nek main tujhse karoon,
Qudsiyon key lab say aameen Rabbana ka saath ho.
Yaa Ilaahi jab RAZA khwaab-e-giraan sey sar uthaa'-e-,
Daulat-e-bedaar ‘ishq-e-Mustafa ka saath ho.
Views: 1695
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!