Best view: Rotate device
Muhammad Maz-har-e kaamil hai haq ki shaan izaat ka
Nazar aata hai iss kasrat mein kuch andaz wehdat ka
Na rakhi gul ke joshe husn ne gulshan mein jab baqi
Chatak ta pir kahan ghuncha koi baaghe risalat ka
Idhar ummat ki hasrat par udhar khaliq ki rehmat par
Nirala taur hoga gardishey chashme shifa at ka
Madat joshishe giriyaan baha de koh aur sehra
Nazar aa jaye jalwa behijaab us paak turbat ka
Ilaahi muntazir hoon vo khiraamey naaz farmaye
Bicha raakha hai farsh aankon se kam khwabaay basarat ka
Jinney marqad mein ta hashr ummati keh kar pukaro ge
Humein bhi yaad karlo umme sadqa upni rahmat ka
Yahan chirka na makwa marhabey ka fuur haath aya
Diley zakhmi namak parwur da hai kiski malahat ka
Raza e khasta joshey bahre issiyan se na ghabrana
Kabhi tho haath aa jaye ga daman unki rahmat ka
Muhammad Maz-har-e kaamil hai haq ki shaan izaat ka
Nazar aata hai iss kasrat mein kuch andaz wehdat ka
Views: 2179
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!