Best view: Rotate device
Chaar su Rahmatoon ke ujaale huwey
Bazm-e-kowneyn ke peyshwaa aa gaey
Zaraey aflaak se baatein karney lagey
Mustafa aa gaey Mustafa aa gaey
Gham ke maarey huwey muskaraaney lagey
Zulmatoon ke makeen jagmagaane lagey
Be kasoon ke muqaddar thekaaney lagey
Sab ke muhsin habeeb-e-Khuda aa gaey
Hazrat-e-Musa jin ko taraste rahey
Ibn-e-Maryam bhi jin ki khabar dey gaey
Pehley aaey huwey jin ke peechay kharhey
Aaj woh khaatim-ul-anmbiya aa gaey
Be zabaanon ko tarz-e-sadaa bakhsh di
Fani insaaniyat ko baqaa bakhsh di
Dushman-e-jaan ki har ik khata bakhsh di
Ban key Rehmat Shafi-ul-waraa aa gaey
Shab gazeedah ko nur-e-sahar de diya
Kor-e-deedah ko zowq-e-nazar de diya
Be nawa ko dua ka asar de diya
Saari makhlooq ka aasra aa gaey
Zikr keysey karon wasf Sarkar ka
Kya bayan ho samaan un ke darbaar ka
Dil Zahuri bana matla' anwaar ka
Jab tasawwur mein woh dilrubaa aa gaey
Views: 1835
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!