Connected to database. Category load error - contact developer: info@mis-productions.co.uk Naat Lyrics
Best view: Rotate device


Jahaan rozae paak e Khairul wara hai
Wo jannat nahi hai to phir aur kya hai
Kahaan mai kahaan yeh Madine ke galiyaa
yeh qisamt nahi hai to phir aur kya hai

Muhammed ki Azmat ko kya poochte ho
Ke wo Sahibe kaaba Qausain tehre
Bashar ki sare Arsh mehmaan nawazi
Yeh Azmat nahi hai to phir aur kya hai

Jo aasi ko Kamli me apne chchupa le
Jo dushman ko bhi zakhm khakar dua de
Use aur kya naam dega zamana
Wo Rehmat nahi hai to phir aur kya hai

Qayamat ka ek din muaiyan hai lekin
Hamare liye har nafas hai qayamat
Madine se hum jaan nisaraun ki doori
Qayamat nahi hai to phir aur kya hai

Tum Iqbal yeh naat kehto rahe ho
Magar yeh bhi soncha ke kya kar rahe ho
Kahaan tum Kahaan madhe Mamduhe Yazdaan
Ye jurrat nahi hai to phir aur kya hai


 
Views: 2919

Appearance of Prophet (PBUH)
MIS Productions ยท Blessed Appearance





Like The App?
Post a review!