Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Mere Nabi Se Mera Rishta
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Pust Woh Kaisay Ho Sakta Hai
Jiss Ko Haq Ne Buland Kiya
Dono Jahan Mein Unka Charcha
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Aur Kisi Jaanib Kyun Jayein
Aur Kisi Ko Kyun Dekhein
Apna Sab Kuch Gumbad-e-Khazra
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Fikr Nahi Hey Hum Ko Kuch Bhi
Dukh Ki Dhoop Kari Toe Kya
Hum Par Un Ke Fazl Ka Sayaa
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Batlado Gustakhey Nabi Ko
Ghairat-e-Muslim Zinda Hai
Deen Pe Mar Mitne Ka Jazba
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Unke dar Se Sab Ho Aaye
Ja Na Saka To Eik Sakhi
Yeh Ke Eik Tasweer E Tamana
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Ha
Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Mere Nabi Se Mera Rishta
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Views: 15669
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!