Best view: Rotate device
Faaslaun ko takalluf hai hum se agar,
Hum bhi bay bus nahi, bay sahara nahi
Khud unhi ko pukarenge hum door se,
Raaste me agar paoon thak jaenge
Jaise hi Sabz Gumbad nazar aaega,
Bandagi ka qareenah badal jaaega
Sar jhuka ne ki fursat milegi kise,
Khud hi aankhaun se sajde se tapak jaenge
Hum Madine me tanha nikal jaenge,
Aur galiyaun me qasdan bhatak jaenge
Hum wahaan jakay wapas nahi aenge,
Dhoond te dhoond te log thak jaenge
Naam unka jahaan bhi liya jaega,
Zikr unka jahaan bhi kiya jaega
Noor hi Noor seenaun me bhar jaega,
Sari Mehfil me Jalwe lapak jaenge
Ai Madine ke zaer Khuda ke liye,
Daastanay safar mujh ko yoon mat suna
Dil tadap jaega, baat badh jaegi,
Mere muhtaat aansoon chalak jaenge
Inki Chasme Karam ko hai, iss ki khabar,
kis musafir ko hai kitna shauqe safar
Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili,
Hum bhi Aqa ke Darbaar tak jaenge
Views: 1970
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!