Best view: Rotate device
Kya khabar kya saza mujh ko milti
Meray Aqa nay izzat bachaali.
Farde isiyan meri mujh se lay kar
Kali Kamli mein Apni chhupaali.
Woh aata par ata karne wale
Aur hum bhi nahin talne wale.
Jaisi deodi hai waise bhikari
Jaisa Daata hain waisay sawali.
Mein ghada hoon magar kis kay dar ka
Woh jo Sultan-e-Kono Makan Hain.
Yeh Ghulami bari mustanad hai
Mere sar par hai taj-e-Bilali
Mein Madinay say kya agaya hun
Zindagi jaise bujh si gayi hai.
Ghar ke andar faza soni soni
Ghar key baher sama khali khali.
Meri Umr-e-Rawan bus thehar jaa
Ab safar ki zuroorat nahin hai.
Unke qadmoun mein meri jabeen hai
Aur hathoun mein Rozay ki Jaali.
Mein faqat naam lewa houn Unka
Unki tauseef mein kya karoonga
Mein na Iqbal, Qusro na Saadi
Mein na Qudsi na Jami na Hali.
Kya Khaber kya saza mujhko milti
Mere Aqa ne Izzat bachaali.
Farde isiyan meri mujh se lay kar
Kali Kamli mein Apni chhupaali
Views: 1819
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!