Best view: Rotate device
Bay khud ki yeh daythay hey andaaz hijabana
Aa dil mey thujhay rakh loon aey jalwae janana
Kyun aankh mila'ee thi kyun aag laga'ee thi
ab rukh ko chhupa bethai kar kay mujhay deewanah
Jis ja nazar aathay ho sajday wahi kartha hoon
iss say nahi kuch matlab kaba ho ya buth khana
Ji chahta hey thofay mey dey doon mey unhin ankhen
darshan ka tho darshan ho nazranay ka nazrana
Mey howsh hawaas apnay iss baath pey kho beyt-ha
hans kar jo kaha thu nay aaya mera deewanah
Duniya mey mujhay thu nay gar apana banaya hey
Mehshar mey bhi keh deyna yeh hey mera deewanah
Ithna tho karam karna aey nargis mastanah
Jab jaan labo par ho tum deed kara janana
Baydam meri qismath mey sajday hey isi dar key
choowta hey na choowtay ga sangai dar jananah
Ji chahta hey thofay mey dey doon mey unhin ankheyn
darshan ka tho darshan ho nazranay ka nazrana
Jis ja nazar atte ho sajde wahin karta houn
Is se nahi kuch matlab kabba ho ja butkhana
Maidane mehshar me tum saath khaday rehna
na jane khuda kuch pooche,
aur na jane kya kehde ye diwana
Peenay ko tho peelon ga, par shart zara si hey
Ajmer ka saaki ho, Baghdad ka mekhana
Sar shaar muje kar dei aik jaam laba lab see
Tahashar-e rahe saki abaad ye mekhanaa
Dil apne chamak uthe eemaan ki talat see
Kar ankheen bhi noraani ai jalwa aa janana
Har phool mein boo teri har shama mein zaa teri
Bulbul hai tera bulbul parwana hai parwana
Bay khud ki yeh daythay hey andaaz hijabana
Aa dil mey thujhay rakh loon aey jalwae janana
Views: 1817
Appearance of Prophet (PBUH)
Like The App?
Post a review!