Connected to database. Category load error - contact developer: info@mis-productions.co.uk Naat Lyrics


NEW APP BY MIS
Daily Deeds


  • Method of Tayammum, Ghusl, Whudu, Janazah, Daily Duas, Sunnahs and more! -
    CLICK ABOVE ICON

    Best view: Rotate device


    Koi saleeqa hai aarzoo ka,
    Na bandagi meri bandagi hai
    Yeh sab tumhara karam hai aaqa
    Keh baat ab tak bani hui hai

    Kissi ka ehsan kyon uthain,
    Kissi ko haalat kyon batain
    Tumhein se mangein gey tum hi do gey,
    Tumhare dar se hi lau lagi hai

    Chorus:
    Yeh sab tumhara qaram hai aaqa,
    Keh baat ab tak bani hui hai

    Ata kiya mujh ko darde-ulfat,
    Kaha thi yeh pur khata ki qismat
    Mein iss karam ke kaha tha qabil,
    Huzur ki banda parwari hai

    Chorus:
    Yeh sab tumhara qaram hai aaqa,
    Keh baat ab tak bani hui hai

    Tajaliyon ke kafeel tum ho,
    Murad tu ke khalil tum ho
    Khuda ki roshan dalil tum ho,
    Yeh sab tumhari hi roshni hai

    Chorus:
    Yeh sab tumhara qaram hai aaqa,
    Keh baat ab tak bani hui hai

    Bashir kahiye nazir kahiye,
    Unhein siraje munir kahiye
    Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi,
    Woh merey aaqa ki zindagi hai

    Chorus:
    Yeh sab tumhara qaram hai aaqa,
    Keh baat ab tak bani hui hai

    Yehi hai khalid asas rehmat,
    Yehi hai khalid bina-e-azmat
    Nabi ka irfan zindagi hai,
    Nabi ka irfan bandagi hai

    Chorus:
    Yeh sab tumhara qaram hai aaqa,
    Keh baat ab tak bani hui ha





    *** Like The App? ***- Please post a review


    Views: 1462

    New Naat Translation

  • Eik Mein Hi Nahi Un Par, Qurban Zamana

    Knowledgewise By MIS

  • Search 'Knowledgewise' on Google podcasts, Apple podcasts or Spotify